9/18/2005

ab kya


bahut waqt se hindi me likhne ka awsar nahi mila. To socha ki yeh post hindi ke naam. aapa, bhai aur bhanjaa ne poora pichla hafta le liya. afsos ki OT ke saath apne iftaari nahi nibha saka. lekin khair. abhi abaab ammi ne bhi pune mein ek aur ghar dekh liya hai. inshallah unka sapna poora ho jaye. kitni ajeeb baat hai ki bachon ke sapne poore karte karte zindagi nikal jaati hai, lekin bachon ne bhi apne maa-baap ke khwaishon ko nahin bhoolna chahiye. abba ammi ne ek aur rishta dekha. maloom nahi unhone kya socha hai.

jaan booch kar MAS day trip ke liye mein nahi gaya. uske jagah par hum desert breeze par barbeque karne nikal gaye. chotte ko to mazaa aaya hi lekin lagta hai ki khargosh ke gosht se uska pate kharaab ho gaya tha.

shaadi ke baare mein aur sochne ka waqt mila tha. yahaan par bhi kitni ladkiyan hai, shaadi ke layaak. lekin kya yeh khaylee ek bahaar ki tasweer hai. unke dilon mein jhaakna itna aasaan nahi. meri yaadash itni zabardast nahi hai, lekin jo yaadein hai woh apne saathi hoten hai. agar unke baare mein aapas mein baat cheet nahi ki ja sakti hai to phir waise jeevan sathi ka kya phayda. meinay bhi kaafi mushkilon ko paar karkiya hai. lekin agar mere saath wala woh nahi samajh sake to phir ek doosra roop/mask humein chadaana padega. humare abba ammi ne humein trinamool/zameen aur waqt ke mayne mein kaafi tilawat di hai. ab unko bas aise thukraya to nahi jaata. batman ne jo rachel ko jawaab diya woh bahut dil par laga "It's not who you are underneath that matters. It's what you do that defines you". Matlab humein apne muskilon ko aise hi choor kar dena chahiye?

kaafi baar sochta hoon ki.. kaash, kaash.... nahi yeh kabhi aur ke liye. aap ko yeh sawaal mujhe pesh karna padega.

No comments: